Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~~``Naz Ka Intikhab``~~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Aj Phir Tum Nazar Nahi Aye...!

    kaha thah tujeh dekhh lunga kal
    aaj phir tum nazar nahi aayee

    dartha wartha kisi sey mey bhi nahi
    merey makan sey woh guzar jaayee

    kuch tho sogwar aankhen hon
    tu kisi aur ke hathh mar jaayee

    na bharey shehr mey thumhara patha
    naa hi police ko khabar aayee

    kin diaron mey kho gayee ho raqeeb
    saarey ilzaam terey sar aayee

    Comment


    • Re: Aj Phir Tum Nazar Nahi Aye...!

      kaha thah tujeh dekhh lunga kal
      aaj phir tum nazar nahi aayee

      dartha wartha kisi sey mey bhi nahi
      merey makan sey woh guzar jaayee

      kuch tho sogwar aankhen hon
      tu kisi aur ke hathh mar jaayee

      na bhharey shehr mey thumhara patha
      naa hi police ko khabar aayee

      kin diaron mey kho gayee ho raqeeb
      saarey ilzaam terey sar aayee

      Comment


      • Re: Aj Phir Tum Nazar Nahi Aye...!

        wah aap ka jawab nahiee .
        YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

        Comment


        • Re: Aj Phir Tum Nazar Nahi Aye...!

          bohoth bohoth shukria

          Comment


          • Re: Aj Phir Tum Nazar Nahi Aye...!

            Kuch samjo na
            YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

            Comment


            • Re: Aj Phir Tum Nazar Nahi Aye...!

              bohat khoob!!:rose

              Comment


              • Re: Aj Phir Tum Nazar Nahi Aye...!

                lixon saab ub aap apni nazmaon ka hashar nashar dekh lijiega

                Comment


                • Re: Aj Phir Tum Nazar Nahi Aye...!

                  :clap: zaberdust:rose
                  Rob :eye:

                  Comment


                  • Re: Aj Phir Tum Nazar Nahi Aye...!

                    suniyie lexicon saab apni pehli nazam kaa nazraana(hashar nashar)

                    tujeh shair-o-shaairy ko bekittaab samona hoga
                    a merey naadan tujeh baar baar ronaa hoga

                    kesey raaja ke tujeh dil pe he ikhtiar nahi
                    bano shaair tho pehley dil ko apna khhonaa hoga

                    tu shaair aala paae ka kissey maalum hai
                    moon mey chusni terey haathon mey khilonaa hoga

                    a dil-e naadan tujhe baar baar ronaa hoga

                    terey dil mey koi chor tujeh maalum nahi
                    dar-i-dil mey tera baarik saa jharonaa hoga

                    mey ne jab nazm mey taarif ki bayan jiski
                    teri tarah bhi woh dunya mey ik namoonaa hoga


                    *******ab bhi nahi samleh,lexicon*********
                    Last edited by Mujahid Khan; 17 June 2006, 15:17.

                    Comment


                    • Re: Aj Phir Tum Nazar Nahi Aye...!

                      Yan Log Ajnabi Hain Na Mehfil Udaas Hai
                      Lekin Tere Bagher Mera Dil Udaas Hai


                      Tang Achuka Hoon Zeest Ke Tanha Safar Se Mein
                      Rahein Udaas Hain Khbi Manzil Udaas Hai


                      Kab Munfarid Hai Meri Udaasi Ki Dastaan
                      Har Jaan Udaas Hain Yehaan Har Dil Udaas Hai
                      YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                      Comment


                      • Nazam OF The week...! 18 June To 24 June

                        Woh Muhabat ko peristish ka maqam detta tha
                        Aur guzrey qisson ko ibadat ka darja samajhta tha
                        Kehta tha muhabat meen koi gharz posheeda naheen hotti
                        Muhabat to begharz aur lafani hotti hey
                        Kuch ajjeb falsafa Muhabat main us ka tha key
                        Woh meri muhabat ka talib bhi tha
                        Aur mein usey matloob bhi na thi
                        Kehta tha key main us ki rooh main jazb hoon aisey
                        Key mujh ko panney ki us ko hasrat bhi naheen
                        Ajeeb shakhs tha kuch ajjeb se us ki kahani thi
                        Yeh dor ab aisi muhabatoon ka naheen raha
                        Millan key baghair muhabatoon ka kia tassawer hey
                        Deed key baghair chahatoon ka kia rang hey
                        Yeh dor to faqt aghraz pey mabni hey
                        Meru muhabat bhi sirf char din ki kahani thi
                        Koi garri aik hee station pey hamesha naheen rukti
                        Waqt key sath khialat badaltey gatey heen
                        Muhabat baqqi rehti hey mehboob badaltey jatey heen
                        Mein ney chaha key khialat us key badal dallon aur
                        Muhabat ki haqeeqi tasweer dikha doon us ko
                        Woh muhabat ka pujari tha
                        main ney Us ko tanhai ki saza dey dalli
                        Mujhey yaqqn hey woh sota to ho ga magar
                        Neend us ki ankhoon mein na utarti ho gee
                        Mehfal men woh muskarata to ho ga magar
                        Us tabassum main ik tees see uthti ho gee
                        Ankh main aansoo to nazar na atey hoon gey
                        Palkoon taley ik barish zarror hotti ho gee
                        Meri yaad to us ki khon ki gardish key saath thi
                        Dil dharakta to ho ga magar ik aah bhi nikalti hoo gee
                        Kion sochto hoon yeh sab kuch main
                        Jo taaluq tha woh to main ney toor dia
                        Woh zinda rahey na rahey mujheu is sey kia
                        Us ki saans rukey ya chaley mujhey kia lena
                        Merey liey to faqt yehi kaafi hey key
                        Main aik duniya dar larki

                        aur

                        Woh ?????????????????

                        ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
                        tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

                        Comment


                        • Gungunatay howey AnchaL...!

                          Gungunatay huay anchal ki hawa de mujh ko
                          Unglian phair kay balon may sula de mujh ko
                          Jis terhan faltu guldan paray rehtay hain
                          Apnay ghar kay kisi konay se laga de mujh ko
                          Yad ker kay mujhy takleef he hoti hogi
                          Ek qissa hon purana sa bhula de mujh ko
                          Dobtay dobtay awaz teri sun jaon
                          Akhri baar tu sahil se sada de mujh ko
                          Main teray hijre may chup chap na mar jaon kahien
                          Main hon saktay may kabhi akay rula de mujh ko
                          Dekh main ho gaya bad nam kitabon ki terhan
                          Meri tash heer na ker ab to jala de mujh ko
                          Rothna tera meri jaan liay jata hay
                          Aisay naraz na ho hans ke dekha de mujh ko
                          Aur kuch bhi nahi manga meray maalik tujh se
                          Os ki galiyon may pari khak bana de mujh ko
                          Log kehtay hain kay ye ishq nigal jata hay
                          Main bhi es ishq may aya hon dua de mujh ko
                          Ye he auqat hay meri teray jevan may kay main
                          Koi kamzor sa lamha hon bhula de mujh ko

                          ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
                          tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

                          Comment


                          • Re: Gungunatay howey AnchaL...!

                            bohot hi zabardast naz....:rose
                            sigpic


                            Comment


                            • Re: Gungunatay howey AnchaL...!

                              well good work.............
                              YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                              Comment


                              • Re: Nazam OF The week...! 18 June To 24 June

                                very nice thanks for shairing........
                                YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                                Comment

                                Working...
                                X